रविवार, 27 जुलाई 2008

toot gaya pradhan mantri banane ka sapan

kendriye rail mantri lalu prasad yadav ka pradhan mantri banane ka sapana sapana hi rah jayega. mulayam singh yadav ka sapana bhi dhara rah jayega.
kendra sarkar ke vishvas mat ki puri prakriya me third front ke neta ka roop me ubharane ka mauka mulayam singh ka pasa tha. lekin unhonne sarkar ke paksha me aakar yaj mauka kho diya. is khai ko BSP ki ni neta mayavati ne patane ka pura prayas Aur isme we safal bhi rahin. bharatiye rajaniti ka yas sach hai ki rajya stariya netaon ko pradhan mantri babane ka avasar third front me sakata hai. BJP ya Congress kheme me jakar ve apne national vajud kho dehen hain.
undp ke neta ke roop me mulayam singh ne apani pahachan baniyee thi. unki svikaryata bhi badh rahi thi ki nirnayak mauke par unhonne undp ko chodakar Congress ka daman tham liya. undp ke mulayam ke hatate hee mayavati ne usase jud kar apni sakh badhyi. vishvas mat ke dauran unhen pradham mantri ke roop me project bhi kiya gaya.
ab jab bhi third front kee bat hogi to neta ke roop me mayavati hi age ayengi. yani pradan mantri pad ke liye filhal mulayam singh yadav v lalu prasad yadav ki davedari par viram lag gaya hai.

0 टिप्पणियाँ:

एक टिप्पणी भेजें

सदस्यता लें टिप्पणियाँ भेजें [Atom]

<< मुख्यपृष्ठ